My First Love Shweta

Hi mera naam akash hai. I m from banaras but for study purpose, mai allahabad mein rehta hun. Abhi mai IIT ki preparation kar raha hun. Ok story pe aata hun.

Ye baat tab ki hai jab mai class XIIth mein tha. Uss samay school mein and coaching mein holiday tha. Isliye mai ghar aaya hua tha. Ek din main apne chhat pe tahal raha tha tabhi mujhe mere ghar se thodi door theek samne waale ghar ki chhat pe ek ladki dikhi. Wow! Kitni beautiful thi woh mai bata nhi sakta. Uska naam tha shweta. Woh aur uski mother waha rent pe rehte the. Phirr main usse daily dekhta rehta jab woh kapde sukhaane ke liye chhat pe aati. Aisa chalta hi rha, but  maine abhi tak usse baat nhi ki thi.
Phirr mauka mil hi gaya. That was the Ist day of navratri. Hamare yahan durga ji saji thi, so mohalle ke saare log aaye the. Woh bhi aayi thi. Bahut beautiful lag rhi thi. Mera ek dost hai aur uski behen ki hi class mein shweta padhti thi. Uska naam tha vandna. Mai vandna ke pass gaya aur poochha ye kaun hai? Kahan se aayi hai? Yahan new hai kya?
Toh vandna ne kaha – haan. Iska naam shweta hai. New hai yahan pe. Phirr main socha kyu na shweta se baat karu. Jab arti hone waali thi toh mai uske pass jaakar khada ho gya. Firr aarti bhi ho gayi. Tab mai vandna ke yahan chala gya b’cause durga ji ka pandaal aur vandna ka ghar kaafi pass tha. Woh bhi wahi par thi. Main sirf usko hi dekhe jaa rha tha. But kuchh bola nhi. Dheere-2 time beet ta gya. Mere exam khatm hue and i got 86% marks. So jab mai ghar aa rha tha toh saath mein sweets bhi le aaya tha. Ussi month mein holi bhi thi. Toh mujhe aur achcha lag rha tha. Ghar aaya sabhi log the. Khush the. Phirr main apne friend ke yahan gya. Vandna. Waha par woh bhi thi. Main bandna ko sweets khilaya. Vandu and shweta dono ne mujhe congrats kaha. Main kaafi khush tha. Aise hi samay chalta gya. Aur jab mai ghar aata, hamari thodi baatein bhi ho jaati thi.
Firr dheere-2 board exam kareeb aaya aur guzar gya. Board mein maine 85% marks obtain kiye and first chance mein main jee-mains qualify kar liya but advance mein nhi aa paaya. So abhi uski taiyaari kar rha hun. Firr main 20 oct. 2015 ko ghar aaya. B’cause dussehera tha. And ek din main apni behen, vandna and my friend or vandna’s brother ke saath mele mein ghoomne gya. Uss samay mera dost apne town ke doston ke saath doosri taraf chala gya tha. And meri behen jhoole pe baithi thi. Tabhi meri aur vandna ki baatein hone lagi—
Me- yrr vandu tu apni friend shweta ko kyu nhi le aayi??
Vandna- kyu tujhe uski kyu padi hai? Koi matter hai kya?
Me- haan hai. But tu kisi ko bolegi toh nhi na?
vandu- nhi. God promise.
Me- vandu, main shweta ko like karta hun. Woh mujhe bahut beautiful lagti hai. Mai hardam uski ek jhalak dekhne ki koshish karta rehta hun.
Vandu- (thoda ruk ke) akash main tujhe shweta ke baare mein ek baat batana chahti hun.
Me- haan bol na.
vandu- uski shaadi dekhi ja rhi hai. And 1 ya dedh saal mein uski shaadi ho jayegi.
Ye sunte hi main hakka bakka reh gya. Aur udaas ho gya. But vandu ne samjhaya ki bhool ja usse. Main usse kaise bhool sakta tha, she is my first love. Main aaj bhi uske baare mein sochta hun but abhi uski shaadi nhi hui hai. Main hamesha god se yahi pray karta hun ki uski shaadi kahin aur na ho. Main aajtak apne dil ki baat usse nhi keh paaya hun. Aur ab shaayad keh bhi na paaun. But i love her a lot.

Post a Comment